Search This Website

Friday, 12 August 2016

Woh tujh ko bhoole hain to tujh pe bhi laazim hai..



Woh tujh ko bhoole hain to tujh pe bhi laazim hai..

Meer Taqi Meer

Woh tujh ko bhoole hain to tujh pe bhi laazim hai Meer,
Khaak daal, aag lagaa, naam na le, yaad na kar..
Read More »

Faqiraana aaye sadaa kar chale..



Faqiraana aaye sadaa kar chale..

Meer Taqi Meer

Faqiraana aaye sadaa kar chale,
Mian khush raho hum duaa kar chale,
Jo tujh bhi na jeene ko kehte they hum,
So us ehd ko ab wafaa kar chale,
Shifaa apni taqdeer hi mei na thi,
Ke maqduur tak to dawaa kar chale,
Parre aese asbaab paayaan-e-kaar,
Ke na-chaaar yun hi jalaa kar chale,
Woh kya cheez hai aah jiss ke liye,
Har aik cheez se dil uthaa kar chale,
Koii na-umeedana karte nigaah,
So tum hum se muun bhi chupa kar chale,
Bohat aarzuu thi gali ki teri,
So yaan se lahuu mei nahaa kr chale,
Dikhaayi diye yuun ke be-khud kiya,
Hamen aap se bhi judaa kar chale,
Jabeen sajdaa karte hi karti gayi,
Haq-e-bandagi hum adaa kar chale,
Parastish ki yaan tak ke aayi buut tujhe,
Nazar me sabhon ki khudaa kar chale,
Jhadde phuul jis rang gulbun se yuun,
Chaman mei jahaan ke hum aa kar chale,
Na dekha gham-e-dostaan shukr hia,
Hamiin daagh apna dikhaa kar chale,
Gayi umar dar-band-e-fikr-e-ghazal,
So is fun ko aisaa barra kar chale,
Kahen kya jo puuche koii hum se “mir”,
Jahan mei tum aaye they kya kar chale..
Read More »

Ultii ho gayin sab tadbeeren kuch na davaa ne kaam kiya..



Ultii ho gayin sab tadbeeren kuch na davaa ne kaam kiya..

Meer Taqi Meer


Ultii ho gayin sab tadbeeren kuch na davaa ne kaam kiya,
Dekha iss beemari-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiya,
Ehed-e-jawani ro ro kaata, peeri main li aankhen muund,
Yaani raat bohat they jaage subh hui araam kiya,
Naahaq hum majbooron pr yeh tohmat hai mukhtaari ki,
Chahte hain so aap karen hain hum ko abass badnaam kiya,
Meer ke deen-o-mazhab ko ab poochte kya ho us ne to,
Qashqaa kheencha dair main betha kab ka tark islam kiya..
Read More »

Woh tujh ko bhoole hain to tujh pe bhi laazim hai meer.



Woh tujh ko bhoole hain to tujh pe bhi laazim hai meer..

Meer Taqi Meer


Woh tujh ko bhoole hain to tujh pe bhi laazim hai meer,
Khaak daal, aag laga, naam na le, yaad na kar..
Read More »

Rahiye ab aesi jagha chal kar jahan koi na ho..



Rahiye ab aesi jagha chal kar jahan koi na ho..

Mirza Ghalib

Rahiye ab aesi jagha chal kar jahan koi na ho,
Hum-sukhan koi na ho, aur hum-zubaan koi na ho,
Parriye gar beemar to koi na ho teemar’daaar*,
Aur agar mar jaayiye to noha-khuwaa’n* koi na ho..
(teemar’daaar;caretaker, noha-khuwaa’n;noha reciter)
Read More »